Home » » Maa Paa ko bhulna possible nahi hota

Maa Paa ko bhulna possible nahi hota

Poem to show what girl goes through after marriage when she misses her parent and in laws ask her to forget your parent.

Maa Paa ko bhulna possible nahi hota
Unko pyaar koi bhi situation main koi bhul nahi sakta

Log kehte hai ab toh tumne shaadi kar di hai
tumhai maa paa ki ab kya jarurat hai
Par jab bhi woh apne maa paa ko yaad karte hai
toh unki aakhen bhi toh aasuo se hi nam hote hai
Toh phir yeh sab kehna kya jaruri hai
Jab sabko pata hai yeh naa mumkin hai

Maa Paa ko bhulna possible nahi hota
Unko pyaar koi bhi situation main koi bhul nahi sakta

Kehna aasan hota hai ke moh nikal do maa paa ka
Warna dur rehkar mushkil ho sakta hai aapka rehna
Par yeh kyu bhul jaate hai jo kehte hai yeh sab
Kya woh bhul paaye hai apne maa paa ka pyar kab
Maa paa ke pyaar ki jarurat humesha sabko rehti hai
Aur jab yeh nahi milta toh har kisiki aakhen roti hai

Maa Paa ko bhulna possible nahi hota
Unko pyaar koi bhi situation main koi bhul nahi sakta

Jag main sabse pyaara pyar hai maa paa aapka
Is pyar ko salam hai hum sab bacho ka
Chahe saath rahe yaa hum rahe aapse meelo dur
Aapka hi pyar karta hai hummain har waqt bahadur
Rakhna haath humesha humare sir par
Aur yaad rakhna yeh hi hai kehna humara har bar

Maa Paa ko bhulna possible nahi hota
Unko pyaar koi bhi situation main koi bhul nahi sakta

Jitna pyar kiya hai maa paa usse bhi jaada karte rehna
Kyuki yehi toh hai jo sikhayega dusro ke saath hai hummain kaise nibana
Jitna ho sake utna milte rehna aur baat karte rehna aap humse
Bhulna mat teachers toh school tak seemet thi lekin aap sikhate ho humesha kasamse
Aapka pyaar hai sabse kimti maa paa humare liye
Bhul kar bhi bhul nahi sakte hum aapko kisike bhi liye

Maa Paa ko bhulna possible nahi hota
Unko pyaar koi bhi situation main koi bhul nahi sakta

Love you Mom Dad will miss you the most.

Image Source: 1

Post a Comment

 
Company Info | Contact Us | Privacy policy | Guest Post
Copyright © 2014. Famous Great And All . All Rights Reserved.
Design Template by panjz-online | Support by creating website | Powered by Blogger